Showing posts with label Happy life. Show all posts
Showing posts with label Happy life. Show all posts

Friday, August 5, 2011

Zina Ki Saza In Islam

semen) kay ikhraj ka chotha zarya zina hai jo kay gunah e kabira hai jis sey har soorat mein bachna chahiyie. Quran majeed mein irshad hai kay "zina kay qareeb na phatko, woh bohut bura fael hai aur bara hi bura rasta hai" (Bani Israel ayat 32) 
Zina ki kaee surtein hain maslan
   Mard ka apni biwi kay elawa kisi aur aurat sey mubashrat (Intercourse) karna ya biwi ka apney khawand kay elawa kisi aur mard sey mubashrat karna. Zina muashirey ki tabahi ka ek bohut bara unser (factor) hai. Isliye Islam mein zina ki sakht saza hai. Shadi shuda fard kay liye sangsaari aur ghaer shadi shuda kay liye 100 korey. Quran majeed mein irshad hai kay "zania aurat aur zani mard donon mein sey har ek ko so (100) korey maro aur inn per taras khaney ka jazba Allah kay deen kay muamley mein tumko daman geer na ho, agar tum Allah aur roz e aakhirat per eemaan rakhtey ho aur inko saza detey waqt ahl e eemaan ka ek groh mojood rahey" (sura noor ayat 2)

Shaadi Sey Jismani Aur Zehni Sukoon

 Mani (seminal fluid) kay ikhraj ka sab sey behter zarya shaadi hai isi liye Allah kay nabi ney taakeed ki hai kay baaligh hotey hi fard ki shaadi kar di jaey ta'kay woh gunaho'n sey bach jaey. Shaadi ki wajah sey fard na sirf gunaho'n sey bach jata hai bul kay mani kay ikhraj ki wajah sey woh jismani aur zehni tor per pursukoon ho jata hai. Biwi sey mubashrat sirf faraj mein karney ki ijazat hai. Maq'ad (anus) mein mubashrat qata'an haram hai.
   Hazrat Abu Hurera sey rivayat hai kay Hazrat Muhammad ney farmaya kay apni biwi kay paas maq'ad (anus) mein aaney wala mal'oon hai. (Ahmed, Abudaud)
    Maghrib mein taqreeban 30% mard kabhi na kabhi aurat ki maq'ad (anus) mein mubashrat kartey hain, yaad rahey kay dakhool (penetration) kay ba'ad donon per ghusl farz ho jata hai chahey inzal ho ya na ho.
    Shaadi bhi kisi aurat kay sath ho. Maghrib mein to shaadi mard kay sath bhi hoti hai jo kay ek bohut bara gunah hai. Badqismati sey humarey haan bhi aisey log mojood hain jo aurat ki  nisbat mard sey jinsi fael ko terjeeh detey hain yeh ek nafsiyati beemari hai jis ka nafsiyati elaj mumkin hai. Humarey haan yeh sahoolat mojood hai.

Bollywood Celebrities

Bollywood Craze