semen) kay ikhraj ka chotha zarya zina hai jo kay gunah e kabira hai jis sey har soorat mein bachna chahiyie. Quran majeed mein irshad hai kay "zina kay qareeb na phatko, woh bohut bura fael hai aur bara hi bura rasta hai" (Bani Israel ayat 32)
Zina ki kaee surtein hain maslan
Mard ka apni biwi kay elawa kisi aur aurat sey mubashrat (Intercourse) karna ya biwi ka apney khawand kay elawa kisi aur mard sey mubashrat karna. Zina muashirey ki tabahi ka ek bohut bara unser (factor) hai. Isliye Islam mein zina ki sakht saza hai. Shadi shuda fard kay liye sangsaari aur ghaer shadi shuda kay liye 100 korey. Quran majeed mein irshad hai kay "zania aurat aur zani mard donon mein sey har ek ko so (100) korey maro aur inn per taras khaney ka jazba Allah kay deen kay muamley mein tumko daman geer na ho, agar tum Allah aur roz e aakhirat per eemaan rakhtey ho aur inko saza detey waqt ahl e eemaan ka ek groh mojood rahey" (sura noor ayat 2)